Ya Rab Ghareeb Maan Pe Sitam Is Qadar Na Ho
Zahra Ke Neelay Rukh Pe Hasan Ki Nazar Na Ho
Darwazay Par Se Log Guzarte Hain Baar Baar
Dekhay Koi Ke Zahra Kahin Zair-E-Dar Na Ho
Pathar Rakhay Gaye Sar-E-Taboot Is Liye
Mayyat Ka Wazan Kya Hai Kisi Ko Khabar Na Ho
Chalees Qabrein Khodi Gayi Theen Batool Ki
Haider Yeh Chahtay Thay Sitam Qabr Par Na Ho
Dafna Ke Fatima Ko Abhi Lauttay Hain Ghar
Aur Tay Ali Se Wapsi Ka Yeh Safar Na Ho
Darbaar Kis Ko Kehte Hain Peshī Hai Kis Ka Naam
Maan Chahti Hai Beti Ko Us Ki Khabar Na Ho
Akbar Thi Syedon Par Yateemi Ki Aisi Raat
Aisi Taweel Raat Ke Jis Ki Sehar Na Ho
يارب غریب ماں پہ ستم اس قدر نہ ہو
زہرا کے نیلے رُخ پہ حسن کی نظر نہ ہو
دروازے پر سے لوگ گزرتے ہیں بار بار
دیکھے کوئی کہ زہرا کہیں زیرِ در نہ ہو
پتھر رکھے گئے سرِ تابوت اس لیے
میت کا وزن کیا ہے کسی کو خبر نہ ہو
چالیس قبریں کھودی گئیں تھیں بتول کی
حیدر یہ چاہتے تھے ستم قبر پر نہ ہو
دفنا کے فاطمہ کو ابھی لوٹتے ہیں گھر
اور طے علی سے واپسی کا یہ سفر نہ ہو
دربار کس کو کہتے ہیں پیشی ہے کس کا نام
ماں چاہتی ہے بیٹی کو اس کی خبر نہ ہو
اکبر تھی سیدوں پر یتیمی کی ایسی رات
ایسی طویل رات کہ جس کی سحر نہ ہو
