اے ننھی جان بتا کیوں تجھے مارتے ہیں تڑپاتے ہیں
یہ کس کا سر ہے جو دکھلاتے ہیں اور چھپاتے ہیں
یہ بات بات پر کیوں تیرے کان نوچتے ہیں
کیوں رو رہی ہے یہ اتنا بھی نہیں پوچھتے ہیں
کیا روتے بچوں کو اس طرح سے کوئی مناتے ہیں
تو جب بھی گرتی ہے بے ہوش ہو کے راہوں میں
وہ چاہتے ہیں تجھے لے لیں اپنی بانہوں میں
ہیں کون نیزوں پہ جو رو رو کر ہوش دلاتے ہیں
ضعیفہ کون ہے جو تیرے ساتھ چلتی ہے
اُسے بھی درد ہے پہلو میں پر نہ رکتی ہے
کیوں تیرے دردوں سے ہائے درد اپنے بھول ہی جاتے ہیں
یہ جانتے ہیں تیرے گالوں پہ جگہ ہی نہیں
یہ جان بوجھ کے درے بھی مارتے ہیں وہیں
کیوں تیرے بابا کو وہ نیزے پر خون رلاتے ہیں
تمہارے لوٹے ہوئے قافلے کی آس ہے کون
سناں سواروں میں بتلا دے کہ عباس ہے کون
ردا ہے کس کی ہنس ہنس کر جو اس کو دکھاتے ہیں
کوئی نہیں ہے سلامت کہ تو بلائے جسے
جو تھے پیروں کے چھالے ہیں تو دکھائے اُسے
ستم کی حد ہے انھی چھالوں میں تجھ کو بھگاتے ہیں
Aay Nanhi Jaan Bata Kyu Tujhe Maartay Hain Tarpaatay Hain
Yeh Kis Ka Sar Hai Jo Dikhlaatay Hain Aur Chhupaatay Hain
Yeh Baat Baat Par Kyu Tere Kaan Nochhtay Hain
Kyu Ro Rahi Hai Yeh Itna Bhi Nahi Poochtay Hain
Kya Rotay Bachon Ko Is Tarah Se Koi Manaatay Hain
Tu Jab Bhi Girti Hai Behosh Ho Ke Raahon Mein
Woh Chahtay Hain Tujhe Lay Lain Apni Baahon Mein
Hain Kaun Nezon Pe Jo Ro Ro Kar Hosh Dilaatay Hain
Zaeefa Kaun Hai Jo Tere Saath Chalti Hai
Usay Bhi Dard Hai Pehlu Mein Par Na Rukti Hai
Kyu Tere Dardon Se Haaye Dard Apnay Bhool Hi Jaatay Hain
Yeh Jaantay Hain Tere Gaalon Pe Jagah Hi Nahi
Yeh Jaan Bojh Ke Dare Bhi Maartay Hain Wahin
Kyu Tere Baba Ko Woh Nezay Par Khoon Rulaatay Hain
Tumhare Lootay Huay Qaflay Ki Aas Hai Kaun
Sinaan Sawaron Mein Batla Day Ke Abbas Hai Kaun
Rida Hai Kis Ki Hans Hans Kar Jo Usko Dikhaatay Hain
Koi Nahi Hai Salamat Ke Tu Bulaaye Jisay
Jo Thay Peeron Ke Chhalay Hain Tu Dikhaaye Usay
Sitam Ki Had Hai Inhi Chhalon Mein Tujh Ko Bhagaatay Hain
