Kaifiyat Dil ki hai Na-Qabil-e-izhaar Hussain Lyrics

کیفیت دل کی ہے نا قابل اظہار حسینؑ
آج ہنستے ہوئے روتے ہیں عزادار حسینؑ

تین شعبان ہے اور جشن ہے تیار حسین ع
سبط جعفر کو ذرا بھیج دو اِک بار حسینؑ

تیرے قاںٔم (عج) کی وه نصرت کو ہیں تیار حسیؑن
آج تک سوںٔے کہاں ہیں تیرے انصار حسینؑ

روز مجلس ہے کہیں یا ہے کہیں پر محفل
نوکری میں میری آتا نہیں اتوار حسینؑ

روز کہتی ہے مجھے اب تو اجازت دے دے
قبرِ عباسؑ پہ رکھی ہوںٔی تلوار حسینؑ

اک قدم بھی نہ بڑھا کرب و بلا سے آگے
عالم الغیب ہے کیا تیرا یہ راہوار حسینؑ

تیرے بیٹےؑ تیری بیٹیؑ تیرے گھر بھر پے نثار
میرا بیٹا میری بیٹی میرا گھر بار حسینؑ

Kaifiyat-e-dil ki hai na-qabil-e-izhaar, Hussain
Aaj hanstay huay rotay hain azaadar, Hussain

Teen Sha‘baan hai aur jashn hai tayyaar, Hussain
Sibt-e-Ja‘far ko zara bhej do aik baar, Hussain

Tere Qaa’im (aj) ki woh nusrat ko hain tayyaar, Hussain
Aaj tak soye kahan hain tere ansaar, Hussain

Roz majlis hai kahin ya hai kahin par mehfil
Naukri mein meri aata nahin itwaar, Hussain

Roz kehti hai mujhe ab to ijazat de de
Qabr-e-Abbas par rakhi hui talwaar, Hussain

Aik qadam bhi na barha Karb-o-Bala se aagay
Aalim-ul-ghaib hai kya tera yeh rahwaar, Hussain

Tere betay, teri beti, tere ghar bhar pe nisaar
Mera beta, meri beti, mera ghar-baar, Hussain

Similar Posts