Sadqy Hussain (a.s) Ky Lyrics | Kazmi Brothers | Imam Hussain (a.s) Manqabat

نظارہ دیکھ کے فضہ س بھی مسکراتی ہیں
بتول س بیٹے پہ یوں صدقے واری جاتی ہیں

زہرا ع نے خود اتارے ہیں صدقے حسین ع کے
بچپن میں معجزات جو د یکھے حسین ع کے

مٹی فرشتو کرب و بلا سے اُٹھا کے لائو
اللّٰہ کو بنانے ہیں بندے حسین ع کے

کرے جو کوئے ہمسری کسی کی کیا مجال ہے
جہاں میں ہر لحاظ حسین ع بے مثال ہے
یہ ہو چکا ہے فیصلہ نہ کوی دوسرا خدا نہ کوئی دوسرا حسین ع ہے

اللّٰہ ایک بار ہی آیا زمین پر
آیا بھی صرف دیکھنے سجدے حسین ع کے

میرا جہان میرا سکون میری زندگی
یہ نام ہیں سکینہ س نے رکھے حسین ع کے

محفل میں ہمکو بھیجا ہے پہنا کے خود کفن
ماں کر چکی ہے ہمکو حوالے حسین ع کے

جتنا بھی زخم گہرا ہو لگتا ہے انکو کم
یہ ماتمی ہیں سارے دیوانے حسین ع کے

جو ہو گئے ہیں ماتمِ زنجیر کے خلاف
یہ لوگ تو کبھی بھی نہیں تھے حسین ع کے

ہے عید انتظار میں بیٹھی ہیں فاطمہ س
جنت سے آنے والے ہیں کرتے حسین ع کے

گھبرا رہے ہیں خوف سے نو لاکھ اہلِ شام
میداں میں آنے والے ہیں بیٹے حسین ع کے

ہے کون کائنات میں عباس ع کے سوا
وہ شخص جو اشارے بھی سمجھے حسین ع کے

محشر میں ارسلان معظم امن علی
ہم ساتھ ہی پڑھیں گے قصیدے حسین ع لے

Nazara dekh ke Fazza s bhi muskurati hain
Batool s betay pe yun sadqay waari jaati hain

Zahra a ne khud utaaray hain sadqay Hussain a ke
Bachpan mein mojzaat jo dekhe Hussain a ke

Mitti farishton Karb-o-Bala se utha ke laao
Allah ko bananay hain banday Hussain a ke

Karay jo koi humsari kisi ki kya majaal hai
Jahan mein har lehaaz Hussain a be-misal hai
Yeh ho chuka hai faisla na koi doosra Khuda
Na koi doosra Hussain a hai

Allah aik baar hi aaya zameen par
Aaya bhi sirf dekhne sajday Hussain a ke

Mera jahan, mera sukoon, meri zindagi
Yeh naam hain Sakina s ne rakhay Hussain a ke

Mehfil mein hum ko bheja hai pehna ke khud kafan
Maa kar chuki hai hum ko hawalay Hussain a ke

Jitna bhi zakhm gehra ho lagta hai unko kam
Yeh maatami hain saaray deewanay Hussain a ke

Jo ho gaye hain matam-e-zanjeer ke khilaf
Yeh log to kabhi bhi nahi thay Hussain a ke

Hai Eid intizaar mein baithi hain Fatima s
Jannat se aane walay hain kartay Hussain a ke

Ghabra rahay hain khauf se nau laakh Ahl-e-Shaam
Maidan mein aane walay hain betay Hussain a ke

Hai kaun kainaat mein Abbas a ke siwa
Woh shakhs jo isharay bhi samjhay Hussain a ke

Mehshar mein Arsalan Moazzam Aman Ali
Hum saath hi parhain ge qaseeday Hussain a ke

Manqabat TitleSadqy Hussain (a.s) Ky
RecitersKazmi Brothers (Ali Kazmi , Aman Kazmi & Moazzam Kazmi)
PoetJanab Arsalan Azmi
ComposeSyed Amar Ali Rab

Similar Posts