Kitni Ghareeb Hogai Baba Tumhari Fatima
Jis Ko Kaha Tha Maa Tum Nay Us Ko Hi Sab Kay Samne
Jhooti Kaha Gaya
Kitni Ghareeb Hogai Baba Tumhari Fatima
Darbar Jab Say Dekha Hai Kitni Zaeef Lagti Hun
Pehchan Yunh Karati Hun Ro R Okay Khud Batati Hun
Haan Main Hun Fatima
Kitni Ghareeb Hogai Baba Tumhari Fatima
Beton Kay Samney Baba Main Ney Tamacha Khaya Hai
Kuch Bhi Nahi Wo Kehta Hai Bas Sehma Sehma Rehta Hai
Beta Hassan Mera
Kitni Ghareeb Hogai Baba Tumhari Fatima
Zakhmi Hain Ungliyan Itni Tasbih Parh Nahi Sakti
Kunfuz Nay Taziyane Say Teri Fatima Kay Hatho Pey
Aesa Sitam Kiya
Kitni Ghareeb Hogai Baba Tumhari Fatima
Jis Dar Pey Aap Rukty Thay Us Dar Pey Aag Lay Aye
Apne Hi Dar Kay Sholon May Dekhi Hai Teri Beti Ney
Yasrab Mein Karbala
Kitni Ghareeb Hogai Baba Tumhari Fatima
Shiddat Thi Wo Tamachy Ki Main Munh Kay Bal Zameen Pey Giri
Itna Wo Haath Bhari Toota Hai Goshwara Bhi
Zakhmi Hai Fatima
Kitni Ghareeb Hogai Baba Tumhari Fatima
Baba Madiney Walon Nay Mari Hain Thokren Mujh Ko
Wahid Yeh Jurm Tha Mera Mujh Say Ali Bachane Ka
Badla Liya Gaya
Kitni Ghareeb Hogai Baba Tumhari Fatima
Ik Tooti Qabr Say Mohsin Awaaz Ab Bhi Aati Hai
Yeh Kese Hogaya Baba Main Zinda Reh Gayi Mera
Mohsin Nahi Bacha
| Noha | Baba Tumhari Fatima |
|---|---|
| Recited & Composed by | Shahid Baltistani |
| Written By | Muhsin Jaffri |
| Album | Ayyam e Fatimiyah |